humne to bain mein nauhe mein sada-kari ki
ham ne to bain meñ nauhe meñ sadā-kārī kī
aaj dafnā dī hai mayyat bhī ravā-dārī kī
ham se bad-tar koī fankār jahāñ meñ hogā
ham adā-kāriyāñ karte haiñ adākārī kī
ham ne ġhairat kā baġhāvat kā alāpā dīpak
taan ūñchī hai magar aaj bhī darbārī kī
ham ko saa.e se bhī shāhoñ ke bachā kar rakhnā
ham pe aa jaa.e na tohmat bhī taraf-dārī kī
vo na māneñge ki ye ain ḳhatā hai un kī
vo jo yaarī ko bhī kahte haiñ ki 'ayyārī kī
ham to anjān the is ghar meñ hamārā kyā thā
tum to timsāl the duniyā meñ samajhdārī kī
jin se uThtī thiiñ siyah aag kī lapTeñ har dam
ham ne aisī bhī zamīnoñ meñ shajar-kārī kī
tum ko sote meñ bhī kab aañkh uThā kar dekhā
ham ne ḳhvāboñ meñ bhī āñkhoñ kī nigah-dārī kī
hum ne to bain mein nauhe mein sada-kari ki
aaj dafna di hai mayyat bhi rawa-dari ki
hum se bad-tar koi fankar jahan mein hoga
hum ada-kariyan karte hain adakari ki
hum ne ghairat ka baghawat ka alapa dipak
tan unchi hai magar aaj bhi darbari ki
hum ko sae se bhi shahon ke bacha kar rakhna
hum pe aa jae na tohmat bhi taraf-dari ki
wo na manenge ki ye ain KHata hai un ki
wo jo yari ko bhi kahte hain ki 'ayyari ki
hum to anjaan the is ghar mein hamara kya tha
tum to timsal the duniya mein samajhdari ki
jin se uThti thin siyah aag ki lapTen har dam
hum ne aisi bhi zaminon mein shajar-kari ki
tum ko sote mein bhi kab aankh uTha kar dekha
hum ne KHwabon mein bhi aankhon ki nigah-dari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.