hum tum mein kal duri bhi ho sakti hai
ham tum meñ kal duurī bhī ho saktī hai
vaj.h koī majbūrī bhī ho saktī hai
pyaar kī ḳhātir kuchh bhī ham kar sakte haiñ
vo terī mazdūrī bhī ho saktī hai
sukh kā din kuchh pahle bhī chaḌh saktā hai
dukh kī raat ubūrī bhī ho saktī hai
dushman mujh par ġhālib bhī aa saktā hai
haar mirī majbūrī bhī ho saktī hai
'bedil' mujh meñ ye jo ik kamī sī hai
vo chāhe to puurī bhī ho saktī hai
hum tum mein kal duri bhi ho sakti hai
wajh koi majburi bhi ho sakti hai
pyar ki KHatir kuchh bhi hum kar sakte hain
wo teri mazduri bhi ho sakti hai
sukh ka din kuchh pahle bhi chaDh sakta hai
dukh ki raat uburi bhi ho sakti hai
dushman mujh par ghaalib bhi aa sakta hai
haar meri majburi bhi ho sakti hai
'bedil' mujh mein ye jo ek kami si hai
wo chahe to puri bhi ho sakti hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 378)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.