hargiz na ho ai dil gham-e-jaanan ki shikayat
hargiz na ho ai dil gham-e-jaanan ki shikayat
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
hargiz na ho ai dil ġham-e-jānāñ kī shikāyat
kartā hai bhalā koī bhī mehmāñ kī shikāyat
āzād the kab qaid-e-ġham-ishq se ham ko
zanjīr kā shikva hai na zindāñ kī shikāyat
vo ye na kaheñge ki tumheñ maut na aa.ī
kis muñh se kareñ ham shab-e-hijrāñ kī shikāyat
mashkūr-e-junūñ aap haiñ vahshī tire un ko
mahmil kā gilā hai na bayābāñ kī shikāyat
go sabr qayāmat kā hai darkār par ai dil
yaañ kufr hai us dushman-e-īmāñ kī shikāyat
sharminda kafan ne kiyā is darja ki tā hashr
ab jeb kā shikva hai na dāmāñ kī shikāyat
thā un ke tasavvur meñ bhī ik vasl kā aalam
ho saktī hai phir kyā shab-e-hijrāñ kī shikāyat
kyoñ fikr ho kyā apne kabhī din na phireñge
be-kār hai phir gardish-e-daurāñ kī shikāyat
laḌtā hai havā se bhī koī laakh ḳhafā ho
bejā hai tirī zulf-e-pareshāñ kī shikāyat
haiñ ishq ke bīmār bhī duniyā se nirāle
hai dard ke badle unheñ darmāñ kī shikāyat
in se na sitam kā na taġhāful kā gilā hai
ho jaatī hai haañ pākī-e-dāmāñ kī shikāyat
manzūr nahīñ jab unheñ ḳhud jalva dikhānā
kyoñ kījiye phir hājib o darbāñ kī shikāyat
thā nazar azal hī se dil us jān-e-jahāñ kī
karte raho yuuñ abrū-o-mizhgāñ kī shikāyat
mehmāñ dil-e-'jauhar' kā bilā-izn sidhārā
paikāñ to gayā rah ga.ī paikāñ kī shikāyat
hargiz na ho ai dil gham-e-jaanan ki shikayat
karta hai bhala koi bhi mehman ki shikayat
aazad the kab qaid-e-gham-ishq se hum ko
zanjir ka shikwa hai na zindan ki shikayat
wo ye na kahenge ki tumhein maut na aai
kis munh se karen hum shab-e-hijran ki shikayat
mashkur-e-junun aap hain wahshi tere un ko
mahmil ka gila hai na bayaban ki shikayat
go sabr qayamat ka hai darkar par ai dil
yan kufr hai us dushman-e-iman ki shikayat
sharminda kafan ne kiya is darja ki ta hashr
ab jeb ka shikwa hai na daman ki shikayat
tha un ke tasawwur mein bhi ek wasl ka aalam
ho sakti hai phir kya shab-e-hijran ki shikayat
kyon fikr ho kya apne kabhi din na phirenge
be-kar hai phir gardish-e-dauran ki shikayat
laDta hai hawa se bhi koi lakh KHafa ho
beja hai teri zulf-e-pareshan ki shikayat
hain ishq ke bimar bhi duniya se nirale
hai dard ke badle unhen darman ki shikayat
in se na sitam ka na taghaful ka gila hai
ho jati hai han paki-e-daman ki shikayat
manzur nahin jab unhen KHud jalwa dikhana
kyon kijiye phir hajib o darban ki shikayat
tha nazar azal hi se dil us jaan-e-jahan ki
karte raho yun abru-o-mizhgan ki shikayat
mehman dil-e-'jauhar' ka bila-izn sidhaara
paikan to gaya rah gai paikan ki shikayat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.