hua jab samna us KHub-ru se
huā jab sāmnā us ḳhūb-rū se
uḌā hai rañg gul kā pahle bū se
ye āñkheñ tar jo rahtī haiñ lahū se
vo guzre ishq ke din aabrū se
ise kahiye shahādat-nāma-e-ishq
use likkhā hai ḳhat apne lahū se
dhuāñ ban kar uḌī missī kī rañgat
ye kis ne jal ke tere hoñT chūse
raqīboñ ko tamannā hai to bāshad
tumheñ matlab parā.ī aarzū se
vo gul-takiya mire marqad meñ rakhnā
mo.attar ho jo zulf-e-mushk-bū se
na.ī zid hai ki dil ham muft leñge
bhalā kyā fā.eda is guftugū se
adū bhī tum ko chāhe ai tirī shaan
laḌāte haiñ ham apnī aarzū se
huā hai tū to shāhid-bāz ai dil
bachā.ūñ tujh ko kis kis ḳhūb-rū se
lagā rakkhī hai ḳhaak us rahguzar kī
tayammum apnā baḌh kar hai vuzū se
hamārā dil use ab DhūñDtā hai
thake haiñ paañv jis kī justujū se
ḳhudā jaane chhalāvā thā ki bijlī
abhī niklā hai koī rū-ba-rū se
huā hai 'dāġh' aasif kā namak-ḳhvār
guzar jaa.e ilāhī aabrū se
hua jab samna us KHub-ru se
uDa hai rang gul ka pahle bu se
ye aankhen tar jo rahti hain lahu se
wo guzre ishq ke din aabru se
ise kahiye shahadat-nama-e-ishq
use likkha hai KHat apne lahu se
dhuan ban kar uDi missi ki rangat
ye kis ne jal ke tere honT chuse
raqibon ko tamanna hai to bashad
tumhein matlab parai aarzu se
wo gul-takiya mere marqad mein rakhna
moattar ho jo zulf-e-mushk-bu se
nai zid hai ki dil hum muft lenge
bhala kya faeda is guftugu se
adu bhi tum ko chahe ai teri shan
laDate hain hum apni aarzu se
hua hai tu to shahid-baz ai dil
bachaun tujh ko kis kis KHub-ru se
laga rakkhi hai KHak us rahguzar ki
tayammum apna baDh kar hai wuzu se
hamara dil use ab DhunDta hai
thake hain panw jis ki justuju se
KHuda jaane chhalawa tha ki bijli
abhi nikla hai koi ru-ba-ru se
hua hai 'dagh' aasif ka namak-KHwar
guzar jae ilahi aabru se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.