husn har naunihaal rakhta hai
husn har naunihāl rakhtā hai
koī tujh sā jamāl rakhtā hai
mujh se ho tere jaur kā shikva
ye bhalā ehtimāl rakhtā hai
tujh se kuchh apnā arz-e-hāl kare
dil kab itnī majāl rakhtā hai
maah kyā hai ki jis se duuñ tashbīh
husn tū be-zavāl rakhtā hai
jīte-jī us se āshiq-e-mahjūr
kab umīd-e-visāl rakhtā hai
tū kahāñ aur us kā vasl kahāñ
ye ḳhayāl-e-muhāl rakhtā hai
jī meñ 'bedār' tere milne kā
aah kyā kyā ḳhayāl rakhtā hai
husn har naunihaal rakhta hai
koi tujh sa jamal rakhta hai
mujh se ho tere jaur ka shikwa
ye bhala ehtimal rakhta hai
tujh se kuchh apna arz-e-haal kare
dil kab itni majal rakhta hai
mah kya hai ki jis se dun tashbih
husn tu be-zawal rakhta hai
jite-ji us se aashiq-e-mahjur
kab umid-e-visal rakhta hai
tu kahan aur us ka wasl kahan
ye KHayal-e-muhaal rakhta hai
ji mein 'bedar' tere milne ka
aah kya kya KHayal rakhta hai
- Deewan-e-Bedar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.