ik be-vafā ko pyaar kiyā haa.e kyā kiyā
ḳhud dil ko be-qarār kiyā haa.e kyā kiyā
mā'lūm thā ki 'ahd-e-vafā un kā jhuuT hai
is par bhī e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
vo dil ki jis pe qīmat-e-kaunain thī nisār
nazr-e-nigāh-e-yār kiyā haa.e kyā kiyā
ḳhud ham ne faash faash kyā rāz-e-āshiqī
dāman ko taar taar kiyā haa.e kyā kiyā
aaheñ bhī baar baar bharīñ un ke hijr meñ
naala bhī baar baar kiyā haa.e kyā kiyā
miTne kā ġham nahīñ hai bas itnā malāl hī
kyuuñ terā intizār kiyā haa.e kyā kiyā
ham ne to ġham ko siine se apne lagā liyā
ġham ne hameñ shikār kiyā haa.e kyā kiyā
sayyād kī razā ye ham aañsū na pī sake
uzr-e-ġham-bahār kiyā haa.e kyā kiyā
qismat ne aah ham ko ye din bhī dikhā diye
qismat pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
rañgīnī-e-ḳhayāl se kuchh bhī na bach sakā
har shai ko pur-bahār kiyā haa.e kyā kiyā
dil ne bhulā bhulā ke tirī bevafā.iyāñ
phir 'ahd ustuvār kiyā haa.e kyā kiyā
un ke sitam bhī sah ke na un se kyā gila
kyuuñ jabr iḳhtiyār kiyā haa.e kyā kiyā
kāfir kī chashm-e-nāz pe kyā dil-jigar kā zikr
īmān tak nisār kiyā haa.e kyā kiyā
kaalī ghaTā ke uThte hī tauba na rah sakī
tauba pe e'tibār kiyā haa.e kyā kiyā
shām-e-firāq qalb ke dāġhoñ ko gin liyā
tāroñ ko bhī shumār kiyā haa.e kyā kiyā
'bahzād' kī na qadar koī tum ko ho sakī
tum ne zalīl-o-ḳhvār kiyā haa.e kyā kiyā
ek be-wafa ko pyar kiya hae kya kiya
KHud dil ko be-qarar kiya hae kya kiya
ma'lum tha ki 'ahd-e-wafa un ka jhuT hai
is par bhi e'tibar kiya hae kya kiya
wo dil ki jis pe qimat-e-kaunain thi nisar
nazr-e-nigah-e-yar kiya hae kya kiya
KHud hum ne fash fash kya raaz-e-ashiqi
daman ko tar tar kiya hae kya kiya
aahen bhi bar bar bharin un ke hijr mein
nala bhi bar bar kiya hae kya kiya
miTne ka gham nahin hai bas itna malal hi
kyun tera intizar kiya hae kya kiya
hum ne to gham ko sine se apne laga liya
gham ne hamein shikar kiya hae kya kiya
sayyaad ki raza ye hum aansu na pi sake
uzr-e-gham-bahaar kiya hae kya kiya
qismat ne aah hum ko ye din bhi dikha diye
qismat pe e'tibar kiya hae kya kiya
rangini-e-KHayal se kuchh bhi na bach saka
har shai ko pur-bahaar kiya hae kya kiya
dil ne bhula bhula ke teri bewafaiyan
phir 'ahd ustuwar kiya hae kya kiya
un ke sitam bhi sah ke na un se kya gila
kyun jabr iKHtiyar kiya hae kya kiya
kafir ki chashm-e-naz pe kya dil-jigar ka zikr
iman tak nisar kiya hae kya kiya
kali ghaTa ke uThte hi tauba na rah saki
tauba pe e'tibar kiya hae kya kiya
sham-e-firaq qalb ke daghon ko gin liya
taron ko bhi shumar kiya hae kya kiya
'bahzad' ki na qadar koi tum ko ho saki
tum ne zalil-o-KHwar kiya hae kya kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.