Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

isi liye to nahin kaTti raat aadmi ki

Amaan Abbas

isi liye to nahin kaTti raat aadmi ki

Amaan Abbas

isī liye to nahīñ kaTtī raat aadmī

ḳhudā zaat se mushkil hai zaat aadmī

na.e ḳhayāl baaqī kahīñ jagah na rahe

vasī.a itnī na ho kā.enāt aadmī

ḳhudā bhī koī shāyad surāġh mil jaa.e

samajh jaa.e agar nafsiyāt aadmī

ḳhudā ne beach meñ aisā fasād barpā kiyā

adhūrī rah ga.ī duniyā se baat aadmī

alamiya sirf yahī hai yahī rahegā bhī

ḳhudā diin magar dīniyāt aadmī

ḳhudā ḳhud aisī jagah jān-būjh kar gayā hai

pahuñch sake na jahāñ koī baat aadmī

ham aur kuchh bhī raheñ haiñ purāne vaqtoñ meñ

ugal rahī hai zamīñ bāqiyāt aadmī

isi liye to nahin kaTti raat aadmi ki

KHuda ki zat se mushkil hai zat aadmi ki

nae KHayal ki baqi kahin jagah na rahe

wasia itni na ho kaenat aadmi ki

KHuda ka bhi koi shayad suragh mil jae

samajh li jae agar nafsiyat aadmi ki

KHuda ne beach mein aisa fasad barpa kiya

adhuri rah gai duniya se baat aadmi ki

alamiya sirf yahi hai yahi rahega bhi

KHuda ka din magar diniyat aadmi ki

KHuda KHud aisi jagah jaan-bujh kar gaya hai

pahunch sake na jahan koi baat aadmi ki

hum aur kuchh bhi rahen hain purane waqton mein

ugal rahi hai zamin baqiyat aadmi ki

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now