aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge

Jaun Eliya

kitne aish se rahte honge kitne itraate honge

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    kitne aish se rahte hoñge kitne itrāte hoñge

    jaane kaise log vo hoñge jo us ko bhāte hoñge

    shaam hue ḳhush-bāsh yahāñ ke mere paas aa jaate haiñ

    mere bujhne nazzāra karne aa jaate hoñge

    vo jo na aane vaalā hai us se mujh ko matlab thā

    aane vāloñ se kyā matlab aate haiñ aate hoñge

    us yaad bād-e-sabā meñ aur to kyā hotā hogā

    yūñhī mere baal haiñ bikhre aur bikhar jaate hoñge

    yaaro kuchh to zikr karo tum us qayāmat bāñhoñ

    vo jo simaTte hoñge un meñ vo to mar jaate hoñge

    merā saañs ukhaḌte sab bain kareñge ro.eñge

    ya.anī mere ba.ad bhī ya.anī saañs liye jaate hoñge

    kitne aish se rahte honge kitne itraate honge

    jaane kaise log wo honge jo us ko bhate honge

    sham hue KHush-bash yahan ke mere pas aa jate hain

    mere bujhne ka nazzara karne aa jate honge

    wo jo na aane wala hai na us se mujh ko matlab tha

    aane walon se kya matlab aate hain aate honge

    us ki yaad ki baad-e-saba mein aur to kya hota hoga

    yunhi mere baal hain bikhre aur bikhar jate honge

    yaro kuchh to zikr karo tum us ki qayamat banhon ka

    wo jo simaTte honge un mein wo to mar jate honge

    mera sans ukhaDte hi sab bain karenge roenge

    yani mere baad bhi yani sans liye jate honge

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Jaun Eliya

    Jaun Eliya

    Jaun Eliya

    Jaun Eliya

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Jaun Eliya

    Jaun Eliya,

    Fahad Husain

    JAUN ELIA - KITNE AISH SE REHTE HONGE Fahad Husain

    Jaun Eliya

    kitne aish se rahte honge kitne itraate honge Jaun Eliya

    Source:

    yani (Pg. 140)

    • Author: jaun eliya
      • Edition: 2006
      • Publisher: farid book depot
      • Year of Publication: 2006

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now