jaan jata hai ab to aa jaani
jaan jaatā hai ab to aa jaanī
hijr kī aag par chhiḌak paanī
dāman o āstīñ kuuñ ro ro kar
ḳhūn-e-dil siiñ kiyā huuñ afshānī
zulf terī siiñ daad pā.ūñgā
haat aa.ī hai ab pareshānī
lāla-rū phir bahār aa.ī hai
kyuuñ na hue phuul kī farāvānī
ganj-e-maḳhfī siiñ āshnā hai 'sirāj'
jab siiñ huī hai nigāh rahmānī
jaan jata hai ab to aa jaani
hijr ki aag par chhiDak pani
daman o aastin kun ro ro kar
KHun-e-dil sin kiya hun afshani
zulf teri sin dad paunga
hat aai hai ab pareshani
lala-ru phir bahaar aai hai
kyun na hue phul ki farawani
ganj-e-maKHfi sin aashna hai 'siraj'
jab sin hui hai nigah rahmani
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 562)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.