jab apna qafila azm-o-yaqin se niklega
jab apnā qāfila 'azm-o-yaqīñ se niklegā
jahāñ se chāheñge rasta vahīñ se niklegā
libās-e-ġhair na hogā badan pe jab apne
to koī saañp na phir āstīñ se niklegā
jo āsmānoñ meñ bāñTegā raushnī apnī
vo āftāb isī sarzamīñ se niklegā
vatan kī ret zarā eḌiyāñ ragaḌne de
mujhe yaqīñ hai ki paanī yahīñ se niklegā
muqābla to 'muzaffar' karūñ añdheroñ se
charāġh ban ke pasīna jabīñ se niklegā
jab apna qafila 'azm-o-yaqin se niklega
jahan se chahenge rasta wahin se niklega
libas-e-ghair na hoga badan pe jab apne
to koi sanp na phir aastin se niklega
jo aasmanon mein banTega raushni apni
wo aaftab isi sarzamin se niklega
watan ki ret zara eDiyan ragaDne de
mujhe yaqin hai ki pani yahin se niklega
muqabla to 'muzaffar' karun andheron se
charagh ban ke pasina jabin se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.