jab bhi us shaKHs ko dekha jae
jab bhī us shaḳhs ko dekhā jaa.e
kuchh kahā jaa.e na sochā jaa.e
dīda-e-kor hai qarya qarya
aa.ina kis ko dikhāyā jaa.e
dāman-e-ahd-e-vafā kyā thā maiñ
dil hī hāthoñ se jo niklā jaa.e
dard-mandoñ se taġhāful kab tak
us ko ehsās dilāyā jaa.e
kyā vo itnā hī hasīñ lagtā hai
is ko nazdīk se dekhā jaa.e
vo kabhī sur hai kabhī rañg 'amjad'
us ko kis naam se DhūñDā jaa.e
jab bhi us shaKHs ko dekha jae
kuchh kaha jae na socha jae
dida-e-kor hai qarya qarya
aaina kis ko dikhaya jae
daman-e-ahd-e-wafa kya tha main
dil hi hathon se jo nikla jae
dard-mandon se taghaful kab tak
us ko ehsas dilaya jae
kya wo itna hi hasin lagta hai
is ko nazdik se dekha jae
wo kabhi sur hai kabhi rang 'amjad'
us ko kis nam se DhunDa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.