jab ek sarab mein pyason ko pyas utarti hai
jab ik sarāb meñ pyāsoñ ko pyaas utārtī hai
mire yaqīñ ko qarīn-e-qayās utārtī hai
hamāre shahr kī ye vahshiyāna āb-o-havā
har ek ruuh meñ jañgal kī baas utārtī hai
ye zindagī to lubhāne lagī hameñ aise
ki jaise koī hasīna libās utārtī hai
tumhāre aane kī afvāh bhī sar āñkhoñ par
ye bām-o-dar se udāsī kī ghaas utārtī hai
maiñ sīḳh-pā huuñ bahut zindagī kī gaaḌī par
ye roz shaam mujhe ghar ke paas utārtī hai
hamārā jism sukūñ chāhtā hai aur ye raat
thakan utārne aatī hai maas utārtī hai
jab ek sarab mein pyason ko pyas utarti hai
mere yaqin ko qarin-e-qayas utarti hai
hamare shahr ki ye wahshiyana aab-o-hawa
har ek ruh mein jangal ki bas utarti hai
ye zindagi to lubhane lagi hamein aise
ki jaise koi hasina libas utarti hai
tumhaare aane ki afwah bhi sar aankhon par
ye baam-o-dar se udasi ki ghas utarti hai
main siKH-pa hun bahut zindagi ki gaDi par
ye roz sham mujhe ghar ke pas utarti hai
hamara jism sukun chahta hai aur ye raat
thakan utarne aati hai mas utarti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.