jab sabaq de unhen aaina KHud-arai ka
jab sabaq de unheñ ā.īna ḳhud-ārā.ī kā
haal kyuuñ pūchheñ bhalā vo kisī saudā.ī kā
mahv hai aks-e-do-ālam mirī āñkhoñ meñ magar
tū nazar aatā hai markaz mirī bīnā.ī kā
donoñ aalam rahe āġhosh-kushā jis ke liye
maiñ ne dekhā hai vo aalam tirī añgḌā.ī kā
ā.īna dekh kar insāf se kah de zālim
kyā mirā ishq hai maujib mirī rusvā.ī kā
'sehr' masjūd-e-do-ālam kiyā us ko jis ne
naqsh hī naqsh vo merī hī jabīñ-sā.ī kā
jab sabaq de unhen aaina KHud-arai ka
haal kyun puchhen bhala wo kisi saudai ka
mahw hai aks-e-do-alam meri aankhon mein magar
tu nazar aata hai markaz meri binai ka
donon aalam rahe aaghosh-kusha jis ke liye
main ne dekha hai wo aalam teri angDai ka
aaina dekh kar insaf se kah de zalim
kya mera ishq hai maujib meri ruswai ka
'sehr' masjud-e-do-alam kiya us ko jis ne
naqsh hi naqsh wo meri hi jabin-sai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.