jab wo tanha kabhi hua hoga
Interesting Fact
"Aahang" Fortnightly -Karachi, 01 May 1982
jab vo tanhā kabhī huā hogā
yaad shāyad mujhe kiyā hogā
sochtā huuñ mirī tarah vo bhī
mere baare meñ sochtā hogā
aah bhar ke huuñ mutma.in aise
jaise us ne bhī sun liyā hogā
aise muḌ muḌ ke dekhtā huuñ udhar
jaise ab tak na dekhtā hogā
phir sunā hai vo yaad kartā hai
aap ne bhī to kuchh sunā hogā
ham bhī kyā kyā nahīñ jale lekin
vo bhī kyā kyā nahīñ bujhā hogā
haiñ ye ḳhush-fahmiyāñ 'sukūn' apnī
us ne sab kuchh bhulā diyā hogā
jab wo tanha kabhi hua hoga
yaad shayad mujhe kiya hoga
sochta hun meri tarah wo bhi
mere bare mein sochta hoga
aah bhar ke hun mutmain aise
jaise us ne bhi sun liya hoga
aise muD muD ke dekhta hun udhar
jaise ab tak na dekhta hoga
phir suna hai wo yaad karta hai
aap ne bhi to kuchh suna hoga
hum bhi kya kya nahin jale lekin
wo bhi kya kya nahin bujha hoga
hain ye KHush-fahmiyan 'sukun' apni
us ne sab kuchh bhula diya hoga
- Book : Muntakhab Gazle.n (Pg. 98)
- Author : Nasir Zaidi
- Publication : Zahid Malik (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.