jahan-e-jubba-o-dastar ki himayat kya
jahān-e-jubba-o-dastār kī himāyat kyā
yazīd-e-vaqt hai kyā aur us kī bai'at kyā
munāfiqāna ravish aam hotī jaatī hai
naqāb-poshī-e-ahbāb kī shikāyat kyā
kisī bhī shaḳhs ko ab harf-e-haq kā paas nahīñ
panap rahā hai yahāñ par daroġh-e-hikmat kyā
mujāvirān-e-jahālat ke bālā-ḳhānoñ meñ
suḳhan-tarāzi-e-ilm-o-adab kī qīmat kyā
maza to jab hai ki rañg-e-suḳhan ho vaj.h-e-numūd
jo ishtihār kī muhtāj ho vo shohrat kyā
mire rafīq faroġh-e-junūñ ke aalam meñ
hai chaak chaak garebāñ to is pe hairat kyā
jo mil rahā hai tumheñ ġhair kī ināyat se
yahī hai saañs to is saañs kī hai qīmat kyā
zabāñ bhī ek zamīñ bhī hai ek rañg bhī ek
to phir miyāñ man-o-tū kī ye ajnabiyyat kyā
jhapaT rahe haiñ sabhī sīm-o-zar ke luqmoñ par
havas-girī hai faqat mansab-e-vazārat kyā
siyāh daaġh haiñ ye raushnī ke chehre par
murīd-e-jehl hai kyā pesha-e-tarīqat kyā
azal se 'baḳhsh' rah-e-pur-ḳhatar se guzre haiñ
jafā-shanāsi-e-ahbāb kī shikāyat kyā
jahan-e-jubba-o-dastar ki himayat kya
yazid-e-waqt hai kya aur us ki bai'at kya
munafiqana rawish aam hoti jati hai
naqab-poshi-e-ahbab ki shikayat kya
kisi bhi shaKHs ko ab harf-e-haq ka pas nahin
panap raha hai yahan par darogh-e-hikmat kya
mujaviran-e-jahaalat ke baala-KHanon mein
suKHan-taraazi-e-ilm-o-adab ki qimat kya
maza to jab hai ki rang-e-suKHan ho wajh-e-numud
jo ishtihaar ki muhtaj ho wo shohrat kya
mere rafiq farogh-e-junun ke aalam mein
hai chaak chaak gareban to is pe hairat kya
jo mil raha hai tumhein ghair ki inayat se
yahi hai sans to is sans ki hai qimat kya
zaban bhi ek zamin bhi hai ek rang bhi ek
to phir miyan man-o-tu ki ye ajnabiyyat kya
jhapaT rahe hain sabhi sim-o-zar ke luqmon par
hawas-giri hai faqat mansab-e-wazarat kya
siyah dagh hain ye raushni ke chehre par
murid-e-jehl hai kya pesha-e-tariqat kya
azal se 'baKHsh' rah-e-pur-KHatar se guzre hain
jafa-shanasi-e-ahbab ki shikayat kya
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 242)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.