jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswai
jal bhī chuke parvāne ho bhī chukī rusvā.ī
ab ḳhaak uḌāne ko baiThe haiñ tamāshā.ī
ab dil ko kisī karvaT ārām nahīñ miltā
ik umr kā ronā hai do din kī shanāsā.ī
ab vus.at-e-ālam bhī kam hai mirī vahshat ko
kyā mujh ko Darā.egī is dasht kī pahnā.ī
jī meñ hai ki is dar se ab ham nahīñ uTTheñge
jis dar pe na jaane kī sau baar qasam khaa.ī
jal bhi chuke parwane ho bhi chuki ruswai
ab KHak uDane ko baiThe hain tamashai
ab dil ko kisi karwaT aaram nahin milta
ek umr ka rona hai do din ki shanasai
ab wusat-e-alam bhi kam hai meri wahshat ko
kya mujh ko Daraegi is dasht ki pahnai
ji mein hai ki is dar se ab hum nahin uTThenge
jis dar pe na jaane ki sau bar qasam khai
- Book : makhzan(shazaad ahmad number-) (Pg. 152)
- Author : tahsiin ahmad firaaqii
- Publication : aziim printer mishan lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.