jalte-bujhte hue makanon se
jalte-bujhte hue makānoñ se
ḳhauf aatā hai āsmānoñ se
āsmāñ aur zamīn girne lage
ek duuje ko thāme shānoñ se
ye na.e log to haqīqat meñ
munfarid haiñ bahut purānoñ se
zindagī terī shāh-rāhoñ par
raunaqeñ haiñ mirī dukānoñ se
saañp hote haiñ āstīnoñ meñ
faiz miltā hai āstānoñ se
tiir ulajhte rahe shikārī ke
apnī TuuTī huī kamānoñ se
aisā lagtā hai jaise ham us ko
jānte haiñ ka.ī zamānoñ se
ik shahanshāh kī hasīñ beTī
ishq kartī rahī kisānoñ se
jurm-e-ulfat se kyā rihā.ī milī
phuul bheje ga.e haiñ thānoñ se
jalte-bujhte hue makanon se
KHauf aata hai aasmanon se
aasman aur zamin girne lage
ek duje ko thame shanon se
ye nae log to haqiqat mein
munfarid hain bahut puranon se
zindagi teri shah-rahon par
raunaqen hain meri dukanon se
sanp hote hain aastinon mein
faiz milta hai aastanon se
tir ulajhte rahe shikari ke
apni TuTi hui kamanon se
aisa lagta hai jaise hum us ko
jaante hain kai zamanon se
ek shahanshah ki hasin beTi
ishq karti rahi kisanon se
jurm-e-ulfat se kya rihai mili
phul bheje gae hain thanon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.