jis ne tujh husn par nigah kiya
jis ne tujh husn par nigāh kiyā
nūr-e-ḳhurshīd farsh-e-rāh kiyā
haq ne apne karam satī muj kuuñ
mulk-e-ḳhūbī kā pādshāh kiyā
mashq-e-ġhaflat se tīra-bātin ne
safha-e-zindagī siyāh kiyā
hauz-e-kausar kā tishna-lab kab hai
is zanaḳhdāñ kī jis ne chaah kiyā
kūcha-e-zulf meñ gayā jab dil
barg-e-sumbul kuuñ zād-e-rāh kiyā
barq-e-ḳhirman hai jān-e-dushman kā
dard siiñ jis ne ek aah kiyā
mat jalā ab 'sirāj' kuuñ zālim
shola-e-ġham kuuñ uzr-ḳhvāh kiyā
jis ne tujh husn par nigah kiya
nur-e-KHurshid farsh-e-rah kiya
haq ne apne karam sati muj kun
mulk-e-KHubi ka padshah kiya
mashq-e-ghaflat se tira-baatin ne
safha-e-zindagi siyah kiya
hauz-e-kausar ka tishna-lab kab hai
is zanaKHdan ki jis ne chah kiya
kucha-e-zulf mein gaya jab dil
barg-e-sumbul kun zad-e-rah kiya
barq-e-KHirman hai jaan-e-dushman ka
dard sin jis ne ek aah kiya
mat jala ab 'siraj' kun zalim
shola-e-gham kun uzr-KHwah kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.