jo beach meñ aa.ina ho pyāre idhar hamāre udhar tumhāre
to phir hoñ bāham-digar nazāre idhar hamāre udhar tumhāre
jo kuchh guzartī hai dil pe pyāre idhar hamāre udhar tumhāre
kaheñ vo kis se adū haiñ saare idhar hamāre udhar tumhāre
chale vo bād-e-murād hamdam jo bahr-e-ġham se nikāle bāham
ḳhushī ke bajre lageñ kināre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhushī thī ḳhalvat-nashīñ the bāham muḳhil huā ġhair aa ke jis dam
to hosh-o-aql-o-ḳhirad sidhāre idhar hamāre udhar tumhāre
nasīb agar phir huī vo sohbat baham jo guzrī miyān-e-ishrat
to kaam bigḌe ḳhudā sañvāre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhudā dikhā.e jo vasl kī shab ḳhushī se gul-gul shagufta hoñ sab
jo daaġh dil par haiñ ġham ke maare idhar hamāre udhar tumhāre
milā hai tum ko jo shahr-e-ḳhūbī to mulk-e-ġham ke haiñ ham bhī vaalī
hue haiñ kishvar do ujāre idhar hamāre udhar tumhāre
jo baat karte na ġhair dete jhukā ke āñkheñ hī dekh lete
ki hote bāham-digar ishāre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhabar na afshāñ kī ham jhalak se na tum ḳhabar dard kī chamak se
kuchh in dinoñ meñ bure sitāre idhar hamāre udhar tumhāre
nikālo vaslat kī tum jo rāheñ karūñ maiñ rah rah ke garm aaheñ
jahāz-e-dūdī lageñ kināre idhar hamāre udhar tumhāre
ḳhudā uThā.e ye parda-e-ġham jo mil ke ham tum hoñ 'shād' bāham
to kaisī shādī ho ghar meñ pyāre idhar hamāre udhar tumhāre
jo beach mein aaina ho pyare idhar hamare udhar tumhaare
to phir hon baham-digar nazare idhar hamare udhar tumhaare
jo kuchh guzarti hai dil pe pyare idhar hamare udhar tumhaare
kahen wo kis se adu hain sare idhar hamare udhar tumhaare
chale wo baad-e-murad hamdam jo bahr-e-gham se nikale baham
KHushi ke bajre lagen kinare idhar hamare udhar tumhaare
KHushi thi KHalwat-nashin the baham muKHil hua ghair aa ke jis dam
to hosh-o-aql-o-KHirad sidhaare idhar hamare udhar tumhaare
nasib agar phir hui wo sohbat baham jo guzri miyan-e-ishrat
to kaam bigDe KHuda sanware idhar hamare udhar tumhaare
KHuda dikhae jo wasl ki shab KHushi se gul-gul shagufta hon sab
jo dagh dil par hain gham ke mare idhar hamare udhar tumhaare
mila hai tum ko jo shahr-e-KHubi to mulk-e-gham ke hain hum bhi wali
hue hain kishwar do ujare idhar hamare udhar tumhaare
jo baat karte na ghair dete jhuka ke aankhen hi dekh lete
ki hote baham-digar ishaare idhar hamare udhar tumhaare
KHabar na afshan ki hum jhalak se na tum KHabar dard ki chamak se
kuchh in dinon mein bure sitare idhar hamare udhar tumhaare
nikalo waslat ki tum jo rahen karun main rah rah ke garm aahen
jahaz-e-dudi lagen kinare idhar hamare udhar tumhaare
KHuda uThae ye parda-e-gham jo mil ke hum tum hon 'shad' baham
to kaisi shadi ho ghar mein pyare idhar hamare udhar tumhaare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.