Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo Dhanpen tan ko wo jame kahan hain

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

jo Dhanpen tan ko wo jame kahan hain

Shan-e-Haider Bebak Amrohvi

MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi

    jo Dhāñpeñ tan ko vo jaame kahāñ haiñ

    zarā DhūñDo nasab-nāme kahāñ haiñ

    nishān-e-azmat-e-aslāf haiñ jo

    buzurgoñ ke vo ammāme kahāñ haiñ

    dil-e-vahshat-asar kuchh to batā de

    ḳhamoshī kyoñ hai hangāme kahāñ haiñ

    nishāñ manzil shāyad un meñ paa.eñ

    idhar laao safar-nāme kahāñ haiñ

    likhā karte the jo 'bebāk' ho kar

    suḳhan-dānoñ ke vo ḳhāme kahāñ haiñ

    jo Dhanpen tan ko wo jame kahan hain

    zara DhunDo nasab-name kahan hain

    nishan-e-azmat-e-aslaf hain jo

    buzurgon ke wo ammame kahan hain

    dil-e-wahshat-asar kuchh to bata de

    KHamoshi kyon hai hangame kahan hain

    nishan manzil ka shayad un mein paen

    idhar lao safar-name kahan hain

    likha karte the jo 'bebak' ho kar

    suKHan-danon ke wo KHame kahan hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now