jo nafraton ka jamal Thahra
jo nafratoñ kā jamāl Thahrā
mohabbatoñ kā zavāl Thahrā
na aañkh roī na dil pasījā
tumhārā jaanā kamāl Thahrā
tumhārī yādeñ jahāñ bhī Thahrīñ
vahīñ pe dil meñ malāl Thahrā
javāb kyūñkar dalīl kis ko
hamāre lab pe savāl Thahrā
jo ham ne sochā thā ishq hogā
faqat hamārā ḳhayāl Thahrā
vo sun ke chup haiñ kahānī apnī
ye hamrā jāh-o-jalāl Thahrā
vo ham se mil kar bhī mil na paa.e
ajab hamārā visāl Thahrā
vo ḳhud ke jaisā hī dūsrā hai
vo aap apnī misāl Thahrā
na niiñd aave na chain pāveñ
adhūrā sapnā vabāl Thahrā
'alī' ko yārab bulāo vāpas
ki is kā jiinā muhāl Thahrā
jo nafraton ka jamal Thahra
mohabbaton ka zawal Thahra
na aankh roi na dil pasija
tumhaara jaana kamal Thahra
tumhaari yaaden jahan bhi Thahrin
wahin pe dil mein malal Thahra
jawab kyunkar dalil kis ko
hamare lab pe sawal Thahra
jo hum ne socha tha ishq hoga
faqat hamara KHayal Thahra
wo sun ke chup hain kahani apni
ye hamra jah-o-jalal Thahra
wo hum se mil kar bhi mil na pae
ajab hamara visal Thahra
wo KHud ke jaisa hi dusra hai
wo aap apni misal Thahra
na nind aawe na chain pawen
adhura sapna wabaal Thahra
'ali' ko yarab bulao wapas
ki is ka jina muhaal Thahra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.