junun mein hum agarche mustaqil KHamosh rahte hain
junun mein hum agarche mustaqil KHamosh rahte hain
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
MORE BYShan-e-Haider Bebak Amrohvi
junūñ meñ ham agarche mustaqil ḳhāmosh rahte haiñ
ḳhirad kī sāzishoñ se bhī magar bā-hosh rahte haiñ
safar jaarī hai sadiyoñ se hamārā nabz-e-ālam meñ
nigāhoñ se zamāne kī magar rū-posh rahte haiñ
hamāre hausloñ ko āzmānā soch kar zālim
qabīle meñ hamāre sab kafan-bar-dosh rahte haiñ
nahīñ pahchāntī jo vaqt miT jaatī haiñ vo qaumeñ
na un meñ hausle baaqī na un meñ josh rahte haiñ
hamārī qaum par taarī hai gahrī niiñd kuchh aisī
ki jaise ḳhvāb meñ Duube hue ḳhargosh rahte haiñ
ġham-e-daurāñ ġham-e-jānāñ ġham-e-hijrāñ ġham-e-yārāñ
ye saare ġham hamesha mujh se ham-āġhosh rahte haiñ
junun mein hum agarche mustaqil KHamosh rahte hain
KHirad ki sazishon se bhi magar ba-hosh rahte hain
safar jari hai sadiyon se hamara nabz-e-alam mein
nigahon se zamane ki magar ru-posh rahte hain
hamare hauslon ko aazmana soch kar zalim
qabile mein hamare sab kafan-bar-dosh rahte hain
nahin pahchanti jo waqt miT jati hain wo qaumen
na un mein hausle baqi na un mein josh rahte hain
hamari qaum par tari hai gahri nind kuchh aisi
ki jaise KHwab mein Dube hue KHargosh rahte hain
gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-hijran gham-e-yaran
ye sare gham hamesha mujh se ham-aghosh rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.