kash maqbul ho dua-e-adu
kaash maqbūl ho duā-e-adū
kyā karūñ vo bhī mustajāb nahīñ
ab to us chashm-e-tar kā charchā hai
zikr-e-dariyā nahīñ sahāb nahīñ
jam.a tūfān-o-chashm-e-tar masraf
ab masārif kā kuchh hisāb nahīñ
dho diyā sab ko dīda-e-tar ne
vo nahīñ dars vo kitāb nahīñ
ishq-bāzī kā muñh chiḌānā hai
aur vo mausam nahīñ shabāb nahīñ
terī āñkhoñ ke daur meñ kyā kyā
sehr rusvā nahīñ ḳharāb nahīñ
muḳhtasar hāl-e-chashm-o-dil ye hai
us ko ārām us ko ḳhvāb nahīñ
jo sarāpā-e-yār 'āzurdā'
tere dīvāñ kā intiḳhāb nahīñ
kash maqbul ho dua-e-adu
kya karun wo bhi mustajab nahin
ab to us chashm-e-tar ka charcha hai
zikr-e-dariya nahin sahab nahin
jama tufan-o-chashm-e-tar masraf
ab masarif ka kuchh hisab nahin
dho diya sab ko dida-e-tar ne
wo nahin dars wo kitab nahin
ishq-bazi ka munh chiDana hai
aur wo mausam nahin shabab nahin
teri aankhon ke daur mein kya kya
sehr ruswa nahin KHarab nahin
muKHtasar haal-e-chashm-o-dil ye hai
us ko aaram us ko KHwab nahin
jo sarapa-e-yar 'azurda'
tere diwan ka intiKHab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.