kare aashiq pe wo bedad jitna us ka ji chahe
kare āshiq pe vo bedād jitnā us kā jī chāhe
rakhe dil ko mire nāshād jitnā us kā jī chāhe
hameñ bhī sabr ḳhātir-ḳhvāh dād-e-haq hai ulfat meñ
vo de jaur o jafā kī daad jitnā us kā jī chāhe
ye mazlūm-e-mohabbat dād-ras hargiz na pāvegā
kare dil-dād aur fariyād jitnā us kā jī chāhe
adam hai aur vajūd us musht-e-par kā bhī masāvī sā
sitam ham par kare sayyād jitnā us kā jī chāhe
balā-e-nā-gahāñ girya giraftārī nahīñ ġhāfil
vo ho ġham se mire āzād jitnā us kā jī chāhe
nahīñ hai sarnavisht us kī lab-e-jāñ-baḳhsh-shīrīñ kī
kare jāñ-kandanī farhād jitnā us kā jī chāhe
hameñ 'hasrat' farāmoshī bhī us kī yādgārī hai
kare go ham ko kam-tar yaad jitnā us kā jī chāhe
kare aashiq pe wo bedad jitna us ka ji chahe
rakhe dil ko mere nashad jitna us ka ji chahe
hamein bhi sabr KHatir-KHwah dad-e-haq hai ulfat mein
wo de jaur o jafa ki dad jitna us ka ji chahe
ye mazlum-e-mohabbat dad-ras hargiz na pawega
kare dil-dad aur fariyaad jitna us ka ji chahe
adam hai aur wajud us musht-e-par ka bhi masawi sa
sitam hum par kare sayyaad jitna us ka ji chahe
bala-e-na-gahan girya giraftari nahin ghafil
wo ho gham se mere aazad jitna us ka ji chahe
nahin hai sarnawisht us ki lab-e-jaan-baKHsh-shirin ki
kare jaan-kandani farhad jitna us ka ji chahe
hamein 'hasrat' faramoshi bhi us ki yaadgari hai
kare go hum ko kam-tar yaad jitna us ka ji chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.