karo hum ko na sharminda baDho aage kahin baba
karo ham ko na sharminda baḌho aage kahīñ baabā
hamāre paas aañsū ke sivā kuchh bhī nahīñ baabā
kaTorā hī nahīñ hai haath meñ bas farq itnā hai
jahāñ baiThe hue ho tum khaḌe ham bhī vahīñ baabā
tumhārī hī tarah ham bhī rahe haiñ aaj tak pyāse
na jaane duudh kī nadiyāñ kidhar ho kar bahīñ baabā
safā.ī thī sachchā.ī thī pasīne kī kamā.ī thī
hamāre paas aisī hī ka.ī kamiyāñ rahīñ baabā
hamārī aabrū kā hai savāl ab sab se mat kahnā
vo bāteñ ham ne jo tum se abhī khul kar kahīñ baabā
karo hum ko na sharminda baDho aage kahin baba
hamare pas aansu ke siwa kuchh bhi nahin baba
kaTora hi nahin hai hath mein bas farq itna hai
jahan baiThe hue ho tum khaDe hum bhi wahin baba
tumhaari hi tarah hum bhi rahe hain aaj tak pyase
na jaane dudh ki nadiyan kidhar ho kar bahin baba
safai thi sachchai thi pasine ki kamai thi
hamare pas aisi hi kai kamiyan rahin baba
hamari aabru ka hai sawal ab sab se mat kahna
wo baaten hum ne jo tum se abhi khul kar kahin baba
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.