kaTe din sun kai mausam mahine
kaTe din sun ka.ī mausam mahīne
tujhe jī meñ bahut DhūñDā hai jī ne
chhuā phūloñ ne jhuk kar us kā chehra
bhigo.e hoñT shabnam kī namī ne
abhī barchhī ke phal ruḌkeñ badan meñ
abhī saḌkan bhare ye sar ye siine
paḌheñ rag-ved kī pākīza hamdeñ
piye nirvān jal ke ābgīne
batā.ī raat kī sab baat āḳhir
kahīñ kā bhī nahīñ chhoḌā kisī ne
sakhī aa chāñd kī jānib phlāñge
kaTahre rañg ke kirnoñ ke ziine
judā.ī kā tabhī mafhūm samjhā
lage jab chhūTne dil ke pasīne
ye gaanī le ke aa.eñ us kī mayyā
ye añgūThī mujhe bhejī hai pī ne
sakhī ke daañt motī jagtī jotī
sakhī ke nain tarshīda nagīne
chaTak bosa tane kere meñ ham tum
dikhā.e haa.e kyā manzar murī ne
kaTe din sun kai mausam mahine
tujhe ji mein bahut DhunDa hai ji ne
chhua phulon ne jhuk kar us ka chehra
bhigoe honT shabnam ki nami ne
abhi barchhi ke phal ruDken badan mein
abhi saDkan bhare ye sar ye sine
paDhen rag-wed ki pakiza hamden
piye nirwan jal ke aabgine
batai raat ki sab baat aaKHir
kahin ka bhi nahin chhoDa kisi ne
sakhi aa chand ki jaanib phlange
kaTahre rang ke kirnon ke zine
judai ka tabhi mafhum samjha
lage jab chhuTne dil ke pasine
ye gani le ke aaen us ki mayya
ye anguThi mujhe bheji hai pi ne
sakhi ke dant moti jagti joti
sakhi ke nain tarshida nagine
chaTak bosa tane kere mein hum tum
dikhae hae kya manzar muri ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.