khel samjha hai safar bhaDwa adam-abaad ka
khel samjhā hai safar bhaḌvā adam-ābād kā
hausla dekho to guyyāñ is dil-e-nāshād kā
kasbī ke ghar se lagā kar bhejte ho paan tum
vaah kyā kahnā hai mirzā aap kī is yaad kā
aa ke vo tīr-e-nazar kī zad meñ bach jaa.e muā
muñh to dhole hausla un ke dil-e-jallād kā
thā sabab begam-buā ye ranj kī buniyād kā
rashk hai shīrāz ke tālāb ruknābād kā
baat to shīrīñ kī rakh lī thī hazāroñ meñ buā
go balā se phaT gayā sar bhī miyāñ farhād kā
baiThne paa.e na the chutḌā uThā.e chal diye
ḳhaak nikle hausla shauq-e-dil-e-nāshād kā
pārbantī ke haiñ ye kāñTe buā bo.e hue
ḳhat nahīñ aatā nigoḌe kāmtā-parshād kā
reḳhtī-goī meñ jo 'mohsin' nigoḌā fard hai
hai ye joban 'anqā' begam sī buā ustād kā
khel samjha hai safar bhaDwa adam-abaad ka
hausla dekho to guyyan is dil-e-nashad ka
kasbi ke ghar se laga kar bhejte ho pan tum
wah kya kahna hai mirza aap ki is yaad ka
aa ke wo tir-e-nazar ki zad mein bach jae mua
munh to dhole hausla un ke dil-e-jallad ka
tha sabab begam-bua ye ranj ki buniyaad ka
rashk hai shiraaz ke talab ruknabaad ka
baat to shirin ki rakh li thi hazaron mein bua
go bala se phaT gaya sar bhi miyan farhad ka
baiThne pae na the chutDa uThae chal diye
KHak nikle hausla shauq-e-dil-e-nashad ka
parbanti ke hain ye kanTe bua boe hue
KHat nahin aata nigoDe kaamta-parshad ka
reKHti-goi mein jo 'mohsin' nigoDa fard hai
hai ye joban 'anqa' begam si bua ustad ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.