KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile
ḳhizāñ milī abhī tak kahīñ bahār mile
safar meñ pyaar kā mausam to bā-vaqār mile
maiñ aise dar kā gadā huuñ jahāñ pe motī kyā
hazār baar mujhe sang āb-dār mile
ḳhushī kā nuur to ik-bārgī milā hai tumheñ
hameñ to ġham ke añdhere bhī qist-vār mile
tirī chamak kā taqāzā nahīñ zarūrat hai
tire ḳhamīr meñ thoḌā sā inkisār mile
ye aarzū hai ki ab raushnī ke qisse haiñ
mire charāġh ko sūraj kā e’tibār mile
maiñ ḳhush-nasīb bahut huuñ ki mujh ko duniyā meñ
qadam qadam pe mohabbat ke shāhkār mile
maiñ āsmānoñ zamīnoñ kī had milā dūñgā
jo chār-roz kā sach-much meñ iḳhtiyār mile
KHizan mili abhi tak kahin bahaar mile
safar mein pyar ka mausam to ba-waqar mile
main aise dar ka gada hun jahan pe moti kya
hazar bar mujhe sang aab-dar mile
KHushi ka nur to ik-bargi mila hai tumhein
hamein to gham ke andhere bhi qist-war mile
teri chamak ka taqaza nahin zarurat hai
tere KHamir mein thoDa sa inkisar mile
ye aarzu hai ki ab raushni ke qisse hain
mere charagh ko suraj ka e’tibar mile
main KHush-nasib bahut hun ki mujh ko duniya mein
qadam qadam pe mohabbat ke shahkar mile
main aasmanon zaminon ki had mila dunga
jo chaar-roz ka sach-much mein iKHtiyar mile
- Book : Khamoshiyon Ka Nagma (Pg. 31)
- Author : Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.