khoe hue sahra tak ai baad-e-saba jaana
kho.e hue sahrā tak ai bād-e-sabā jaanā
vo ḳhāk-e-junūñ merī āñkhoñ se lagā jaanā
ab tak koī chingārī rah rah ke chamaktī hai
ai qāfila-e-fardā ye raakh uḌā jaanā
hai dasht-e-tamannā meñ ab shaam kā sannāTā
haañ tez qadam rakhte ai ahl-e-vafā jaanā
ham niiñd kī chādar meñ lipTe hue chalte haiñ
is bhes meñ ab ham se milnā ho to aa jaanā
āfāq kī sarhad par saa.e se gurezāñ haiñ
in soḳhta-jānoñ ko us paar na thā jaanā
tum duur safar kar ke nazdīk se lagte ho
ab paas bahut aa ke ham ko na jagā jaanā
kyā us se shikāyat ho jis shoḳh kī 'ādat ho
kuchh baat dabā lenā kuchh aañkh churā jaanā
ham zikr-e-gul-o-bulbul karte hue Darte haiñ
ab siikh gayā hai vo har baat kā pā jaanā
khoe hue sahra tak ai baad-e-saba jaana
wo KHak-e-junun meri aankhon se laga jaana
ab tak koi chingari rah rah ke chamakti hai
ai qafila-e-farda ye rakh uDa jaana
hai dasht-e-tamanna mein ab sham ka sannaTa
han tez qadam rakhte ai ahl-e-wafa jaana
hum nind ki chadar mein lipTe hue chalte hain
is bhes mein ab hum se milna ho to aa jaana
aafaq ki sarhad par sae se gurezan hain
in soKHta-jaanon ko us par na tha jaana
tum dur safar kar ke nazdik se lagte ho
ab pas bahut aa ke hum ko na jaga jaana
kya us se shikayat ho jis shoKH ki 'adat ho
kuchh baat daba lena kuchh aankh chura jaana
hum zikr-e-gul-o-bulbul karte hue Darte hain
ab sikh gaya hai wo har baat ka pa jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.