KHud se uktae hue apna bura chahte hain
ḳhud se uktā.e hue apnā burā chāhte haiñ
bas ki ab ahl-e-vafā tark-e-vafā chāhte haiñ
un ke īmāñ pe rahā hai tirī qudrat kā madār
yahī ushshāq jo ma.atūb huā chāhte haiñ
ham ki ḳhud-soz haiñ jiine nahīñ dete ḳhud ko
tū mayassar hai to kuchh tere sivā chāhte haiñ
pattharo aao ki nādim haiñ shabīheñ ḳhud par
aa.ine apnī jasārat kī sazā chāhte haiñ
zindagī zabt kī qaa.il hai ki suntī hī nahīñ
aise zaḳhmoñ kī sadā.eñ jo davā chāhte haiñ
KHud se uktae hue apna bura chahte hain
bas ki ab ahl-e-wafa tark-e-wafa chahte hain
un ke iman pe raha hai teri qudrat ka madar
yahi ushshaq jo matub hua chahte hain
hum ki KHud-soz hain jine nahin dete KHud ko
tu mayassar hai to kuchh tere siwa chahte hain
pattharo aao ki nadim hain shabihen KHud par
aaine apni jasarat ki saza chahte hain
zindagi zabt ki qail hai ki sunti hi nahin
aise zaKHmon ki sadaen jo dawa chahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.