Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

KHuda ne laj rakhi meri be-nawai ki

Iqbal Ashhar

KHuda ne laj rakhi meri be-nawai ki

Iqbal Ashhar

ḳhudā ne laaj rakhī merī be-navā.ī

bujhā charāġh to jugnū ne rahnumā.ī

tire ḳhayāl ne tasḳhīr kar liyā hai mujhe

ye qaid bhī hai bashārat bhī hai rihā.ī

qarīb aa na sakī koī be-vazū ḳhvāhish

badan-sarā.e meñ ḳhushbū thī pārsā.ī

matā-e-dard hai dil meñ to aañkh meñ aañsū

na raushnī kamī hai na raushnā.ī

ab apne aap ko qatra bhī kah nahīñ saktā

burā kiyā jo samundar se āshnā.ī

use bhī shah ne musāhib banā liyā apnā

jis aadmī se tavaqqo thī lab-kushā.ī

vahī to markazī kirdār hai kahānī

usī pe ḳhatm hai tāsīr bevafā.ī

KHuda ne laj rakhi meri be-nawai ki

bujha charagh to jugnu ne rahnumai ki

tere KHayal ne tasKHir kar liya hai mujhe

ye qaid bhi hai bashaarat bhi hai rihai ki

qarib aa na saki koi be-wazu KHwahish

badan-sarae mein KHushbu thi parsai ki

mata-e-dard hai dil mein to aankh mein aansu

na raushni ki kami hai na raushnai ki

ab apne aap ko qatra bhi kah nahin sakta

bura kiya jo samundar se aashnai ki

use bhi shah ne musahib bana liya apna

jis aadmi se tawaqqo thi lab-kushai ki

wahi to markazi kirdar hai kahani ka

usi pe KHatm hai tasir bewafai ki

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now