Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kis ujale ka nishan hain hum log

Fareed Javed

kis ujale ka nishan hain hum log

Fareed Javed

MORE BYFareed Javed

    kis ujāle nishāñ haiñ ham log

    kin añdheroñ meñ ravāñ haiñ ham log

    nūr-e-ḳhurshīd ko ilzām na do

    sub.h ḳhvāb-e-girāñ haiñ ham log

    jaise bhaTkā huā raahī ho koī

    yūñhī har nigarāñ haiñ ham log

    kabhī āvārgī-e-nihkat-e-gul

    kabhī zanjīr-e-girāñ haiñ ham log

    duur tak dasht-e-junūñ hai 'jāved'

    ābla-pā guzarāñ haiñ ham log

    kis ujale ka nishan hain hum log

    kin andheron mein rawan hain hum log

    nur-e-KHurshid ko ilzam na do

    subh ka KHwab-e-giran hain hum log

    jaise bhaTka hua rahi ho koi

    yunhi har su nigaran hain hum log

    kabhi aawargi-e-nihkat-e-gul

    kabhi zanjir-e-giran hain hum log

    dur tak dasht-e-junun hai 'jawed'

    aabla-pa guzaran hain hum log

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now