kisht-e-ehsas mein thoDa sa mila lenge tujhe
kisht-e-ehsās meñ thoḌā sā milā leñge tujhe
phir na.ī paud kī sūrat meñ ugā leñge tujhe
kyā ḳhabar kaam kā lamha koī haath aa jaa.e
kāsa-e-vaqt kisī roz khañgāleñge tujhe
ik faqat terī tavajjoh se tire pyaar talak
rafta rafta hī sahī apnā banā leñge tujhe
sarhad-e-vaqt ke us paar tū jaane de mujhe
ai ġham-e-yār! vahāñ par bhī bulā leñge tujhe
na machā shor umañDte hue dariyā mere
varna ifrīt samundar ke ye khā leñge tujhe
zindagī ham se tirī āñkh-micholī kab tak
ik na ik roz kisī moḌ pe aa leñge tujhe
kaam aa hī ga.ī 'sārim' tirī āshufta-sarī
qāfile ishq ke ab rāh-numā leñge tujhe
kisht-e-ehsas mein thoDa sa mila lenge tujhe
phir nai paud ki surat mein uga lenge tujhe
kya KHabar kaam ka lamha koi hath aa jae
kasa-e-waqt kisi roz khangalenge tujhe
ek faqat teri tawajjoh se tere pyar talak
rafta rafta hi sahi apna bana lenge tujhe
sarhad-e-waqt ke us par tu jaane de mujhe
ai gham-e-yar! wahan par bhi bula lenge tujhe
na macha shor umanDte hue dariya mere
warna ifrit samundar ke ye kha lenge tujhe
zindagi hum se teri aankh-micholi kab tak
ek na ek roz kisi moD pe aa lenge tujhe
kaam aa hi gai 'sarim' teri aashufta-sari
qafile ishq ke ab rah-numa lenge tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.