kisi hamdard ki yaadon ka jangal
kisī hamdard kī yādoñ kā jangal
mirī āñkhoñ meñ hai ḳhvāboñ kā jangal
har ik chehra darinda lag rahā hai
hai vahshat-nāk ye logoñ kā jangal
musalsal phailtā hī jā rahā hai
mire atrāf ye sāyoñ kā jangal
ye shor-o-ġhul mujhe ab nochtā hai
mirā kamra hai āvāzoñ kā jangal
ġhazal meñ puḳhta-kārī karte karte
banāyā maiñ ne ye lafzoñ kā jangal
tumhārā gaañv kachche rāstoñ kā
hamārā shahr dīvāroñ kā jangal
muqaddar meñ yahī likkhā hai 'sāgar'
añdherā aur ye aahoñ kā jangal
kisi hamdard ki yaadon ka jangal
meri aankhon mein hai KHwabon ka jangal
har ek chehra darinda lag raha hai
hai wahshat-nak ye logon ka jangal
musalsal phailta hi ja raha hai
mere atraf ye sayon ka jangal
ye shor-o-ghul mujhe ab nochta hai
mera kamra hai aawazon ka jangal
ghazal mein puKHta-kari karte karte
banaya main ne ye lafzon ka jangal
tumhaara ganw kachche raston ka
hamara shahr diwaron ka jangal
muqaddar mein yahi likkha hai 'sagar'
andhera aur ye aahon ka jangal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.