Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi itna pyara kaise ho sakta hai

Jawad Sheikh

koi itna pyara kaise ho sakta hai

Jawad Sheikh

MORE BYJawad Sheikh

    koī itnā pyārā kaise ho saktā hai

    phir saare saarā kaise ho saktā hai

    tujh se jab mil kar bhī udāsī kam nahīñ hotī

    tere baġhair guzārā kaise ho saktā hai

    kaise kisī yaad hameñ zinda rakhtī hai

    ek ḳhayāl sahārā kaise ho saktā hai

    yaar havā se kaise aag bhaḌak uThtī hai

    lafz koī añgārā kaise ho saktā hai

    kaun zamāne-bhar Thokareñ khā kar ḳhush hai

    dard kisī ko pyārā kaise ho saktā hai

    ham bhī kaise ek shaḳhs ke ho kar rah jaa.eñ

    vo bhī sirf hamārā kaise ho saktā hai

    kaise ho saktā hai jo kuchh bhī maiñ chāhūñ

    bol mere yaarā kaise ho saktā hai

    koi itna pyara kaise ho sakta hai

    phir sare ka sara kaise ho sakta hai

    tujh se jab mil kar bhi udasi kam nahin hoti

    tere baghair guzara kaise ho sakta hai

    kaise kisi ki yaad hamein zinda rakhti hai

    ek KHayal sahaara kaise ho sakta hai

    yar hawa se kaise aag bhaDak uThti hai

    lafz koi angara kaise ho sakta hai

    kaun zamane-bhar ki Thokaren kha kar KHush hai

    dard kisi ko pyara kaise ho sakta hai

    hum bhi kaise ek hi shaKHs ke ho kar rah jaen

    wo bhi sirf hamara kaise ho sakta hai

    kaise ho sakta hai jo kuchh bhi main chahun

    bol na mere yara kaise ho sakta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now