koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf
koī kisī kī taraf hai koī kisī kī taraf
kahāñ hai shahr meñ ab koī zindagī kī taraf
sabhī kī nazroñ meñ ġhā.eb thā jo vo hāzir thā
kisī ne ruk ke nahīñ dekhā aadmī kī taraf
tamām shahr kī sham.eñ usī se raushan thiiñ
kabhī ujālā bahut thā kisī galī kī taraf
kahīñ kī bhuuk ho har khet us kā apnā hai
kahīñ kī pyaas ho jā.egī vo nadī kī taraf
na nikle ḳhair se allāma qaul se bāhar
'yagānā' TuuT ga.e jab chale ḳhudī kī taraf
koi kisi ki taraf hai koi kisi ki taraf
kahan hai shahr mein ab koi zindagi ki taraf
sabhi ki nazron mein ghaeb tha jo wo hazir tha
kisi ne ruk ke nahin dekha aadmi ki taraf
tamam shahr ki shamen usi se raushan thin
kabhi ujala bahut tha kisi gali ki taraf
kahin ki bhuk ho har khet us ka apna hai
kahin ki pyas ho jaegi wo nadi ki taraf
na nikle KHair se allama qaul se bahar
'yagana' TuT gae jab chale KHudi ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.