koi kisi se KHush ho aur wo bhi barha ho ye baat to ghalat hai
koī kisī se ḳhush ho aur vo bhī bārhā ho ye baat to ġhalat hai
rishta libās ban kar mailā nahīñ huā ho ye baat to ġhalat hai
vo chāñd rahguzar kā sāthī jo thā safar thā mo.ajiza nazar kā
har baar kī nazar se raushan vo mo.ajiza ho ye baat to ġhalat hai
hai baat us kī achchhī lagtī hai dil ko sachchī phir bhī hai thoḌī kachchī
jo us kā hādisa hai merā bhī tajraba ho ye baat to ġhalat hai
dariyā hai bahtā paanī har mauj hai ravānī ruktī nahīñ kahānī
jitnā likhā gayā hai itnā hī vāqi.a ho ye baat to ġhalat hai
ye yug hai kārobārī har shai hai ishtihārī raaja ho yā bhikārī
shohrat hai jis kī jitnī itnā hī martaba ho ye baat to ġhalat hai
koi kisi se KHush ho aur wo bhi barha ho ye baat to ghalat hai
rishta libas ban kar maila nahin hua ho ye baat to ghalat hai
wo chand rahguzar ka sathi jo tha safar tha moajiza nazar ka
har bar ki nazar se raushan wo moajiza ho ye baat to ghalat hai
hai baat us ki achchhi lagti hai dil ko sachchi phir bhi hai thoDi kachchi
jo us ka hadisa hai mera bhi tajraba ho ye baat to ghalat hai
dariya hai bahta pani har mauj hai rawani rukti nahin kahani
jitna likha gaya hai itna hi waqia ho ye baat to ghalat hai
ye yug hai karobari har shai hai ishtihaari raja ho ya bhikari
shohrat hai jis ki jitni itna hi martaba ho ye baat to ghalat hai
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 486)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.