kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein
kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein
Chakbast Braj Narayan
MORE BYChakbast Braj Narayan
kuchh aisā pās-e-ġhairat uTh gayā is ahd-e-pur-fan meñ
ki zevar ho gayā tauq-e-ġhulāmī apnī gardan meñ
shajar sakte meñ haiñ ḳhāmosh haiñ bulbul nasheman meñ
sidhārā qāfila phūloñ kā sannāTā hai gulshan meñ
garāñ thī dhuup aur shabnam bhī jin paudoñ ko gulshan meñ
tirī qudrat se vo phūle-phale sahrā ke dāman meñ
havā-e-tāza dil ko ḳhud-baḳhud bechain kartī hai
qafas meñ kah gayā koī bahār aa.ī hai gulshan meñ
miTānā thā use bhī jazba-e-shauq-e-fanā tujh ko
nishān-e-qabr-e-majnūñ daaġh hai sahrā ke dāman meñ
zamāna meñ nahīñ ahl-e-hunar kā qadr-dāñ baaqī
nahīñ to saikḌoñ motī haiñ is dariyā ke dāman meñ
yahāñ tasbīh kā halqa vahāñ zunnār kā phandā
asīrī lāzmī hai maz.hab-e-shaiḳh-o-brahman meñ
jinheñ sīñchā thā ḳhūn-e-dil se agle bāġhbānoñ ne
taraste ab haiñ paanī ko vo paude mere gulshan meñ
dikhāyā mo'jiza husn-e-bashar kā dast-e-qudrat ne
bharī tāsīr tasvīr-e-gilī ke rañg-o-roġhan meñ
shahīd-e-yās huuñ rusvā huuñ nākāmī ke hāthoñ se
jigar kā chaak baḌh kar aa gayā hai mere dāman meñ
jahāñ meñ rah ke yuuñ qaa.em huuñ apnī be-sabātī par
ki jaise aks-e-gul rahtā hai āb-e-jū-e-gulshan meñ
sharāb-e-husn ko kuchh aur hī tāsīr detā hai
javānī ke numū se be-ḳhabar honā laḌakpan meñ
shabāb aayā hai paidā rang hai ruḳhsār-e-nāzuk se
faroġh-e-husn kahtā hai sahar hotī hai gulshan meñ
nahīñ hotā hai muhtāj-e-numā.ish faiz shabnam kā
añdherī raat meñ motī luTā jaatī hai gulshan meñ
matā-e-dard-e-dil ik daulat-e-bedār hai mujh ko
dur-e-shahvār haiñ ashk-e-mohabbat mere dāman meñ
na batlā.ī kisī ne bhī haqīqat rāz-e-hastī kī
butoñ se jā ke sar phoḌā bahut dair-e-brahman meñ
purānī kāvisheñ dair-o-haram kī miTtī jaatī hai
na.ī tahzīb ke jhagḌe haiñ ab shaiḳh-o-barahman meñ
uḌā kar le ga.ī bād-e-ḳhizāñ is saal us ko bhī
rahā thā ek barg-e-zard baaqī mere gulshan meñ
vatan kī ḳhaak se mar kar bhī ham ko uns baaqī hai
mazā dāmān-e-mādar kā hai is miTTī ke dāman meñ
kuchh aisa pas-e-ghairat uTh gaya is ahd-e-pur-fan mein
ki zewar ho gaya tauq-e-ghulami apni gardan mein
shajar sakte mein hain KHamosh hain bulbul nasheman mein
sidhaara qafila phulon ka sannaTa hai gulshan mein
garan thi dhup aur shabnam bhi jin paudon ko gulshan mein
teri qudrat se wo phule-phale sahra ke daman mein
hawa-e-taza dil ko KHud-baKHud bechain karti hai
qafas mein kah gaya koi bahaar aai hai gulshan mein
miTana tha use bhi jazba-e-shauq-e-fana tujh ko
nishan-e-qabr-e-majnun dagh hai sahra ke daman mein
zamana mein nahin ahl-e-hunar ka qadr-dan baqi
nahin to saikDon moti hain is dariya ke daman mein
yahan tasbih ka halqa wahan zunnar ka phanda
asiri lazmi hai mazhab-e-shaiKH-o-brahman mein
jinhen sincha tha KHun-e-dil se agle baghbanon ne
taraste ab hain pani ko wo paude mere gulshan mein
dikhaya mo'jiza husn-e-bashar ka dast-e-qudrat ne
bhari tasir taswir-e-gili ke rang-o-roghan mein
shahid-e-yas hun ruswa hun nakaami ke hathon se
jigar ka chaak baDh kar aa gaya hai mere daman mein
jahan mein rah ke yun qaem hun apni be-sabaati par
ki jaise aks-e-gul rahta hai aab-e-ju-e-gulshan mein
sharab-e-husn ko kuchh aur hi tasir deta hai
jawani ke numu se be-KHabar hona laDakpan mein
shabab aaya hai paida rang hai ruKHsar-e-nazuk se
farogh-e-husn kahta hai sahar hoti hai gulshan mein
nahin hota hai muhtaj-e-numaish faiz shabnam ka
andheri raat mein moti luTa jati hai gulshan mein
mata-e-dard-e-dil ek daulat-e-bedar hai mujh ko
dur-e-shahwar hain ashk-e-mohabbat mere daman mein
na batlai kisi ne bhi haqiqat raaz-e-hasti ki
buton se ja ke sar phoDa bahut dair-e-brahman mein
purani kawishen dair-o-haram ki miTti jati hai
nai tahzib ke jhagDe hain ab shaiKH-o-barahman mein
uDa kar le gai baad-e-KHizan is sal us ko bhi
raha tha ek barg-e-zard baqi mere gulshan mein
watan ki KHak se mar kar bhi hum ko uns baqi hai
maza daman-e-madar ka hai is miTTi ke daman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.