kya hamare ashk ki qimat nahin boli gai
kyā hamāre ashk kī qīmat nahīñ bolī ga.ī
kyuuñ hamāre gaañv kī saḌkeñ nahīñ badlī ga.ī
ab jahāñ meñ koī bhī insān mujh ko na dikhā
ye kisī kī soch hai ham se nahīñ sochī ga.ī
ḳhātma puurī tarah insāniyat kā kab huā
bas ridā lāchār kī oḌhe huī suutī ga.ī
hai abhī bhī ishq liilā aur majnūñ kī tarah
vo hamāre naam pe ḳhud kī balī chaḌhtī ga.ī
kyā pata us ko mirī kaisī adā mahbūb ho
raah meñ titlī ka.ī andāz se uḌtī ga.ī
bāhamī ranjish to firqa ḳhuub aapas meñ laḌe
ḳhuun ke mīzān meñ qaumeñ mirī tolī ga.ī
jī rahī hai gar siyāsat sar uThā kar to janāb
laash bhī bahtī nadī meñ shaan sī terī ga.ī
maañ agar ġhussa kare to baad meñ rūThe nahīñ
saḳht hai buniyād par itnī namī rakkhī ga.ī
phek do ghar se hayā bāzār meñ bikte raho
baap ko ghar ke kisī kone meñ jaañ de dī ga.ī
ham bahut majbūr apne aap meñ tab se hue
jab lakīreñ yaar kī aġhyār se miltī ga.ī
raah meñ kāñTeñ bahut the paañv merā phuul thā
dhaar se ḳhushbū miyān-e-rāh meñ laḌtī ga.ī
qatl pahle bhī bahut āsān thā ab bhī vahī
sūrat-e-qātil hukūmat kī tarah badlī ga.ī
sāhib-e-irfān 'ġhālib' se shikāyat ye kareñ
kyuuñ ġhazal be-nām tere naam se joḌī ga.ī
kya hamare ashk ki qimat nahin boli gai
kyun hamare ganw ki saDken nahin badli gai
ab jahan mein koi bhi insan mujh ko na dikha
ye kisi ki soch hai hum se nahin sochi gai
KHatma puri tarah insaniyat ka kab hua
bas rida lachaar ki oDhe hui suti gai
hai abhi bhi ishq lila aur majnun ki tarah
wo hamare nam pe KHud ki bali chaDhti gai
kya pata us ko meri kaisi ada mahbub ho
rah mein titli kai andaz se uDti gai
bahami ranjish to firqa KHub aapas mein laDe
KHun ke mizan mein qaumen meri toli gai
ji rahi hai gar siyasat sar uTha kar to janab
lash bhi bahti nadi mein shan si teri gai
man agar ghussa kare to baad mein ruThe nahin
saKHt hai buniyaad par itni nami rakkhi gai
phek do ghar se haya bazar mein bikte raho
bap ko ghar ke kisi kone mein jaan de di gai
hum bahut majbur apne aap mein tab se hue
jab lakiren yar ki aghyar se milti gai
rah mein kanTen bahut the panw mera phul tha
dhaar se KHushbu miyan-e-rah mein laDti gai
qatl pahle bhi bahut aasan tha ab bhi wahi
surat-e-qatil hukumat ki tarah badli gai
sahib-e-irfan 'ghaalib' se shikayat ye karen
kyun ghazal be-nam tere nam se joDi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.