lagae baiThe hain mehndi jo mere KHun se poron mein
lagae baiThe hain mehndi jo mere KHun se poron mein
Ashique Akbarabadi
MORE BYAshique Akbarabadi
lagā.e baiThe haiñ mehñdī jo mere ḳhuuñ se poroñ meñ
yahī to rahzanoñ meñ haiñ yahī haiñ dil ke choroñ meñ
paḌe rahte haiñ aksar sū-e-mushkīñ rū-e-jānāñ par
bahut dekhā hai ham ne ittifāq in kaale goroñ meñ
lagā.ī aag un ke husn-e-ālam-soz ne har-sū
jalāne chau-lakhā baiThe haiñ yuuñ kore sakoroñ meñ
vufūr-e-sohbat-e-aġhyār se kuchh aise khul khele
na vo jheñpeñ hazāroñ meñ na sharmā.eñ karo.roñ meñ
hameñ kū-e-butāñ se do-qadam uThne nahīñ detī
hamārī nā-tavānī in dinoñ hai aise zoroñ meñ
amaañ detā nahīñ vo chāhne vāloñ ko mar kar bhī
hamāre naam ko zālim ne piTvāyā DhinDhoroñ meñ
mire nāloñ kā 'āshiq' rañg uḌāyā andalīboñ ne
ḳhirām-e-yār kī shohrat huī saare chakoroñ meñ
lagae baiThe hain mehndi jo mere KHun se poron mein
yahi to rahzanon mein hain yahi hain dil ke choron mein
paDe rahte hain aksar su-e-mushkin ru-e-jaanan par
bahut dekha hai hum ne ittifaq in kale goron mein
lagai aag un ke husn-e-alam-soz ne har-su
jalane chau-lakha baiThe hain yun kore sakoron mein
wufur-e-sohbat-e-aghyar se kuchh aise khul khele
na wo jhenpen hazaron mein na sharmaen karoron mein
hamein ku-e-butan se do-qadam uThne nahin deti
hamari na-tawani in dinon hai aise zoron mein
aman deta nahin wo chahne walon ko mar kar bhi
hamare nam ko zalim ne piTwaya DhinDhoron mein
mere nalon ka 'ashiq' rang uDaya andalibon ne
KHiram-e-yar ki shohrat hui sare chakoron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.