main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha
maiñ jāntā huuñ vo nazdīk o duur merā thā
bichhaḌ gayā jo maiñ us se qusūr merā thā
jo paañv aa.e the ghar tak mire vo us ke the
vo dil baḌhā thā jo us ke huzūr merā thā
baḌā ġhurūr thā donoñ ko ham-navā.ī par
nigāh us kī thī lekin surūr merā thā
vo aañkh merī thī jo us ke sāmne nam thī
ḳhamosh vo thā ki yaum-e-nushūr merā thā
kahā ye sab ne ki jo vaar the usī par the
magar ye kyā ki badan chuur chuur merā thā
main jaanta hun wo nazdik o dur mera tha
bichhaD gaya jo main us se qusur mera tha
jo panw aae the ghar tak mere wo us ke the
wo dil baDha tha jo us ke huzur mera tha
baDa ghurur tha donon ko ham-nawai par
nigah us ki thi lekin surur mera tha
wo aankh meri thi jo us ke samne nam thi
KHamosh wo tha ki yaum-e-nushur mera tha
kaha ye sab ne ki jo war the usi par the
magar ye kya ki badan chur chur mera tha
- Book : paalkii kahkashaa.n (Pg. 61)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.