maine ek aawaz suni thi kamre mein KHamoshi ki
maiñ ne ik āvāz sunī thī kamre meñ ḳhāmoshī kī
mere kaan meñ aa kar terī yādoñ ne sargoshī kī
kuchh to ghar kā rasta maiñ bhī apnī dhun meñ bhuul gayā
aur nashīlī āñkhoñ ne bhī taarī kuchh mad.hoshī kī
ham ne phūloñ se misroñ ko ḳhūn-e-dil se yuuñ sīñchā
saarī umr hī ḳhushbū bāñTī ham ne itr-faroshī kī
apnoñ ne rāzoñ kī gaThḌī biich chaurāhe meñ rakh dī
logoñ ne to baat uchhālī rab ne parda-poshī kī
kitne hī an-dekhe manzar mujh se bāteñ karte haiñ
jab bhī ġhazleñ paḌhtā huuñ maiñ 'sāġhar' 'mohsin' 'doshī' kī
ham ne sochā aur dhueñ ne ḳhadd-o-ḳhāl banā Daale
ham ne terā hijr manāyā khul kar cigarette-noshī kī
ḳhvāboñ kī duniyā se 'āsif' ab to bāhar aa jaao
taptā sūraj sar par hai aur bāteñ rākā-poshī kī
main ne ek aawaz suni thi kamre mein KHamoshi ki
mere kan mein aa kar teri yaadon ne sargoshi ki
kuchh to ghar ka rasta main bhi apni dhun mein bhul gaya
aur nashili aankhon ne bhi tari kuchh madhoshi ki
hum ne phulon se misron ko KHun-e-dil se yun sincha
sari umr hi KHushbu banTi hum ne itr-faroshi ki
apnon ne raazon ki gaThDi bich chaurahe mein rakh di
logon ne to baat uchhaali rab ne parda-poshi ki
kitne hi an-dekhe manzar mujh se baaten karte hain
jab bhi ghazlen paDhta hun main 'saghar' 'mohsin' 'doshi' ki
hum ne socha aur dhuen ne KHadd-o-KHal bana Dale
hum ne tera hijr manaya khul kar cigarette-noshi ki
KHwabon ki duniya se 'asif' ab to bahar aa jao
tapta suraj sar par hai aur baaten raka-poshi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.