main tere gham mein ab nahin nashad
maiñ tire ġham meñ ab nahīñ nāshād
de mirī jaañ mujhe mubārakbād
mere dushman na mujh ko bhuul sake
varna rakhtā hai kaun kis ko yaad
zindagī ko samajh ke zinda raho
zindagī varna kār-e-be-buniyād
phir ḳhudā.ī bhī chāhe kar lenā
pahle sar kar le bandagī kā jihād
haiñ sabhī aadmī to phir ye kyoñ
aadmī ko hai aadmī se 'inād
'ishq aur zindagī kī māñge bhiik
koī aisī hī paḌ ga.ī uftād
ham zamāne se sulh to kar leñ
aur na jaa.e jo is kī ḳhū-e-fasād
aur kyā deñ ḳhirāj-e-kisht-e-umīd
fasl kī fasl ho ga.ī barbād
kyoñ 'adū se kareñ salām-o-payām
āsmāñ tujh se nāla-o-fariyād
hāsil-e-‘umr kyā hai tanhā.ī
kyā chaman kaisā ḳhāna-e-sayyād
aan pahuñche yahāñ bhī farzāne
mai-kada phir na ho sakā ābād
main tere gham mein ab nahin nashad
de meri jaan mujhe mubarakbaad
mere dushman na mujh ko bhul sake
warna rakhta hai kaun kis ko yaad
zindagi ko samajh ke zinda raho
zindagi warna kar-e-be-buniyaad
phir KHudai bhi chahe kar lena
pahle sar kar le bandagi ka jihad
hain sabhi aadmi to phir ye kyon
aadmi ko hai aadmi se 'inad
'ishq aur zindagi ki mange bhik
koi aisi hi paD gai uftad
hum zamane se sulh to kar len
aur na jae jo is ki KHu-e-fasad
aur kya den KHiraj-e-kisht-e-umid
fasl ki fasl ho gai barbaad
kyon 'adu se karen salam-o-payam
aasman tujh se nala-o-fariyaad
hasil-e-‘umr kya hai tanhai
kya chaman kaisa KHana-e-sayyaad
aan pahunche yahan bhi farzane
mai-kada phir na ho saka aabaad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.