maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin
maut ilāj-e-ġham to hai maut kā aanā sahl nahīñ
jaan se jaanā sahl sahī jaan kā jaanā sahl nahīñ
hamdardī hamdardī meñ jaan hī le kar Talte haiñ
in zālim ham-dardoñ se jaan chhuḌānā sahl nahīñ
barq bhī girtī hai aksar ḳhirman bhī jalte haiñ magar
apne hāthoñ ḳhirman ko aag lagānā sahl nahīñ
ġham ke khāne vāloñ ko khā jāatā hai ġham āḳhir
ġham kā khānā mushkil hai ġham kā khānā sahl nahīñ
dāvā-e-majzūbiyat kyā mujh se kare mansūr 'vafā'
bak uThnā hai sahl magar bakte jaanā sahl nahīñ
maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin
jaan se jaana sahl sahi jaan ka jaana sahl nahin
hamdardi hamdardi mein jaan hi le kar Talte hain
in zalim ham-dardon se jaan chhuDana sahl nahin
barq bhi girti hai aksar KHirman bhi jalte hain magar
apne hathon KHirman ko aag lagana sahl nahin
gham ke khane walon ko kha jaata hai gham aaKHir
gham ka khana mushkil hai gham ka khana sahl nahin
dawa-e-majzubiyat kya mujh se kare mansur 'wafa'
bak uThna hai sahl magar bakte jaana sahl nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.