aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka

Mumtaz Gurmani

mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka

Mumtaz Gurmani

MORE BYMumtaz Gurmani

    mele meñ gar nazar na aatā ruup kisī matvālī

    phīkā phīkā rah jaatā tyauhār bhī is dīvālī

    māyoñ baiThe rūp-sarūp ke rog se vāqif lagtī hai

    āñchal bhīgā jaatā hai is dūlhan shahbālī

    bartan bartan chīḳh rahī thī kaun samajhtā us baat

    dil bartan ḳhālī thā us bartan bechne vaalī

    gaal jānib jhuktī hai sharmātī hai haT jaatī hai

    aaj irāda Thiik nahīñ hai jaan tumhārī baalī

    shahzāde talvār thamā de ab darbān ke hāthoñ meñ

    kah de ḳhālī haath na jaa.e ab ke baar savālī

    phir 'mumtāz' kisī yādeñ kūñjeñ ban kar lauTeñg

    mausam aane vaalā hai phir zaḳhmoñ hariyālī

    mele mein gar nazar na aata rup kisi matwali ka

    phika phika rah jata tyauhaar bhi is diwali ka

    mayon baiThe rup-sarup ke rog se waqif lagti hai

    aanchal bhiga jata hai is dulhan ki shahbaali ka

    bartan bartan chiKH rahi thi kaun samajhta us ki baat

    dil ka bartan KHali tha us bartan bechne wali ka

    gal ki jaanib jhukti hai sharmati hai haT jati hai

    aaj irada Thik nahin hai jaan tumhaari baali ka

    shahzade talwar thama de ab darban ke hathon mein

    kah de KHali hath na jae ab ke bar sawali ka

    phir 'mumtaz' kisi ki yaaden kunjen ban kar lauTeng

    mausam aane wala hai phir zaKHmon ki hariyali ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now