meri KHwahish bahta pani
merī ḳhvāhish bahtā paanī
merī qismat Thahrā paanī
gor meñ qulzum kī jā soyā
koh kī god kā khelā paanī
us kī pyaas kī ḳhātir maiñ ne
pahroñ ok meñ rakkhā paanī
rote haiñ jab ho jaatā hai
apne sar se ūñchā paanī
jis bartan meñ Daalo us ko
ho jaatā hai vaisā paanī
kachchī chhat par TuuT ke barsā
behis bahrā andhā paanī
pāyābī se haar na maano
mil jā.egā gahrā paanī
is nagrī meñ daam na pūchho
sastā ḳhuun hai mahñgā paanī
apne aks se sharminda haiñ
paanī ham ko kar gayā paanī
meri KHwahish bahta pani
meri qismat Thahra pani
gor mein qulzum ki ja soya
koh ki god ka khela pani
us ki pyas ki KHatir main ne
pahron ok mein rakkha pani
rote hain jab ho jata hai
apne sar se uncha pani
jis bartan mein Dalo us ko
ho jata hai waisa pani
kachchi chhat par TuT ke barsa
behis bahra andha pani
payabi se haar na mano
mil jaega gahra pani
is nagri mein dam na puchho
sasta KHun hai mahnga pani
apne aks se sharminda hain
pani hum ko kar gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.