daman-e-koh mein jo mein DaDh mar roya
dāmān-e-koh meñ jo meñ DaaḌh maar royā
ik abr vaañ se uTh kar be-iḳhtiyār royā
paḌtā na thā bharosā ahd-e-vafā-e-gul par
murġh-e-chaman na samjhā maiñ to hazār royā
har gul zamīn yaañ kī rone hī kī jagah thī
mānind-e-abr har jā maiñ zaar zaar royā
thī maslahat ki ruk kar hijrāñ meñ jaan diije
dil khol kar na ġham meñ maiñ ek baar royā
ik ijz ishq is kā asbāb-e-sad-alam thā
kal 'mīr' se bahut maiñ ho kar do-chār royā
daman-e-koh mein jo mein DaDh mar roya
ek abr wan se uTh kar be-iKHtiyar roya
paDta na tha bharosa ahd-e-wafa-e-gul par
murgh-e-chaman na samjha main to hazar roya
har gul zamin yan ki rone hi ki jagah thi
manind-e-abr har ja main zar zar roya
thi maslahat ki ruk kar hijran mein jaan dije
dil khol kar na gham mein main ek bar roya
ek ijz ishq is ka asbab-e-sad-alam tha
kal 'mir' se bahut main ho kar do-chaar roya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0105
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.