meri bala se zamana KHilaf ho jae
mirī balā se zamāna ḳhilāf ho jaa.e
maiñ chāhtā huuñ tirā zehn saaf ho jaa.e
ye abr-pāra nahīñ dost ashk-e-girya hai
ye pattharoñ pe gire to shigāf ho jaa.e
agar hai shauq baḌoñ se mukālme kā tujhe
durust pahle tirā shiin qaaf ho jaa.e
rahe ḳhayāl ki aa.e na ehtirām meñ farq
agar kisī se tirā iḳhtilāf ho jaa.e
charāġh ham ne mohabbat ke kar diye raushan
havā kā ḳhauf kise hai ḳhilāf ho jaa.e
ab is tarah jo mujhe rad karoge mumkin hai
tumhārī zid meñ mirā e'tirāf ho jaa.e
meri bala se zamana KHilaf ho jae
main chahta hun tera zehn saf ho jae
ye abr-para nahin dost ashk-e-girya hai
ye pattharon pe gire to shigaf ho jae
agar hai shauq baDon se mukalme ka tujhe
durust pahle tera shin qaf ho jae
rahe KHayal ki aae na ehtiram mein farq
agar kisi se tera iKHtilaf ho jae
charagh hum ne mohabbat ke kar diye raushan
hawa ka KHauf kise hai KHilaf ho jae
ab is tarah jo mujhe rad karoge mumkin hai
tumhaari zid mein mera e'tiraf ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.