mom ke jismon wali is maKHluq ko ruswa mat karna
mom ke jismoñ vaalī is maḳhlūq ko rusvā mat karnā
mish.al-e-jāñ ko raushan karnā lekin itnā mat karnā
haq-goī aur vo bhī itnī jiinā dūbhar ho jaa.e
jaisā kuchh ham karte rahe haiñ tum sab vaisā mat karnā
pichhle safar meñ jo kuchh biitā biit gayā yaaro lekin
aglā safar jab bhī tum karnā dekho tanhā mat karnā
bhuuk se rishta TuuT gayā to ham behis ho jā.eñge
ab ke jab bhī qaht paḌe to fasleñ paidā mat karnā
ai yaado jiine do ham ko bas itnā ehsān karo
dhuup ke dasht meñ jab ham nikleñ ham par saayā mat karnā
mom ke jismon wali is maKHluq ko ruswa mat karna
mishal-e-jaan ko raushan karna lekin itna mat karna
haq-goi aur wo bhi itni jina dubhar ho jae
jaisa kuchh hum karte rahe hain tum sab waisa mat karna
pichhle safar mein jo kuchh bita bit gaya yaro lekin
agla safar jab bhi tum karna dekho tanha mat karna
bhuk se rishta TuT gaya to hum behis ho jaenge
ab ke jab bhi qaht paDe to faslen paida mat karna
ai yaado jine do hum ko bas itna ehsan karo
dhup ke dasht mein jab hum niklen hum par saya mat karna
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 252)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.