mujhe apni pasti ki sharm hai teri rifaton ka KHayal hai
mujhe apni pasti ki sharm hai teri rifaton ka KHayal hai
Akhtar Shirani
MORE BYAkhtar Shirani
mujhe apnī pastī kī sharm hai tirī rif.atoñ kā ḳhayāl hai
magar apne dil ko maiñ kyā karūñ use phir bhī shauq-e-visāl hai
is adā se kaun ye jalva-gar sar-e-bazm-e-husn-e-ḳhayāl hai
jo nafas hai mast-e-bahār hai jo nazar hai ġharq-e-jamāl hai
unheñ zid hai arz-e-visāl se mujhe shauq-e-arz-e-visāl hai
vahī ab bhī un kā javāb hai vahī ab bhī merā savāl hai
tirī yaad meñ huā jab se gum tire gum-shuda kā ye haal hai
ki na duur hai na qarīb hai na firāq hai na visāl hai
tirī bazm-e-ḳhalvat-e-lā-makāñ tirā āstāñ mah-o-kahkashāñ
magar ai sitāra-e-ārzū mujhe ārzū-e-visāl hai
maiñ vatan meñ rah ke bhī be-vatan ki nahīñ hai ek bhī ham-suḳhan
hai koī sharīk-e-ġham-o-mehan to vo ik nasīm-e-shumāl hai
maiñ batā.ūñ vā.iz-e-ḳhush-navā hai jahān-o-ḳhuld meñ farq kyā
ye agar fareb-e-ḳhayāl hai vo fareb-e-husn-e-ḳhayāl hai
yahī dād-e-qissa-e-ġham milī ki nazar uThī na zabāñ milī
faqat ik tabassum-e-sharmagī mirī be-kasī kā ma.aal hai
vo ḳhushī nahīñ hai vo dil nahīñ magar un kā saaya sā ham-nashīñ
faqat ek ġham-zada yaad hai faqat ik fasurda ḳhayāl hai
kahīñ kis se 'aḳhtar'-e-be-navā hameñ bazm-e-dahr se kyā milā
vahī ek sāġhar-e-zahr-e-ġham jo harīf-e-nosh-e-kamāl hai
mujhe apni pasti ki sharm hai teri rifaton ka KHayal hai
magar apne dil ko main kya karun use phir bhi shauq-e-visal hai
is ada se kaun ye jalwa-gar sar-e-bazm-e-husn-e-KHayal hai
jo nafas hai mast-e-bahaar hai jo nazar hai gharq-e-jamal hai
unhen zid hai arz-e-visal se mujhe shauq-e-arz-e-visal hai
wahi ab bhi un ka jawab hai wahi ab bhi mera sawal hai
teri yaad mein hua jab se gum tere gum-shuda ka ye haal hai
ki na dur hai na qarib hai na firaq hai na visal hai
teri bazm-e-KHalwat-e-la-makan tera aastan mah-o-kahkashan
magar ai sitara-e-arzu mujhe aarzu-e-visal hai
main watan mein rah ke bhi be-watan ki nahin hai ek bhi ham-suKHan
hai koi sharik-e-gham-o-mehan to wo ek nasim-e-shumal hai
main bataun waiz-e-KHush-nawa hai jahan-o-KHuld mein farq kya
ye agar fareb-e-KHayal hai wo fareb-e-husn-e-KHayal hai
yahi dad-e-qissa-e-gham mili ki nazar uThi na zaban mili
faqat ek tabassum-e-sharmagi meri be-kasi ka maal hai
wo KHushi nahin hai wo dil nahin magar un ka saya sa ham-nashin
faqat ek gham-zada yaad hai faqat ek fasurda KHayal hai
kahin kis se 'aKHtar'-e-be-nawa hamein bazm-e-dahr se kya mila
wahi ek saghar-e-zahr-e-gham jo harif-e-nosh-e-kamal hai
- Book : Kulliyat-e-Akhtar Shirani (Pg. 223)
- Author : Akhtar Shirani
- Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.